bhagalpur me anant chaturdashi parva ki tyariya puri ho chuki hai. yah tyohar shukrawar ko shraddha ke sath manaya jayega. nagar ke pramukh mandiro me puja ki taiyari hai.
baba budhanath, harbadiya kali mandir, adbhut bajrangbali mandir aur kupeshwar mahadev mandir sahit kayi sthano par anusthan honge. jyotish pandit manoj kumar mishra ne bataya ki yah vidhi mukhya taur par dopahar ke samay ki jati hai. chaturdashi tithi guruwar ko ratri 10:13 baje shuru hui thi jo shukrawar ko ratri 10:29 baje tak rahegi.
is parva me 14 gantho wala anant dora taiyar kiya jata hai jise kumkum, kesar ya haldi se ranga jata hai. bhagwan v vishnu ki puja ke dauran akshat, phool, dhoop, deep aur naivedya arpit kiye jate hain. katha ke dauran ghee, doodh, shahad, gud aur dahi se panchamrit banaya jata hai. shaligram aur anant dora ko is mishran me rakhakar kakdi se teen baar samudra manthan ka pratikatmak karya kiya jata hai. anantdev ka dhyan karne ke baad purush apne dahine hath par aur mahilayein baye hath par anant dora bandhti hain.
guruwar ko poore shahar me tyohar ki taiyariya saaf najar aayi. mukhya bazar, tilkamanjhi chowk, variety chowk aur khalifabag chowk sahit pramukh sthano par puja samagri ki dukaane lagi thi. nivaasiyo ne anant dora, kakdi aur batasha jaisi aavashyak vasthue kharidi. sthaniy bazaron me anant dora 10 se 20 rupaye jodi me bik raha tha, wahi kakdi lagbhag 30 rupaye pav ke bhav se biki.