kursela mein khuni jhadap par badi karyawai, char giraftar

katihar ke kursela mein kheriya mandal tola mein hue ek hinsak takrar ke mamle mein pulis ne char logo ko giraftar kiya hai. is ghatna mein dono paksho ke logo ke sar par gambhir chot aayi thi.
shuruati janch aur shikayat
is ghatna ke baad dono hi paksho ki taraf se sthaniye thane mein likhit shikyat darj karwai gayi. prashasan ne aropiyo par hatya ke prayas ka mamla darj kiya hai.pulis ki karwai
in shikayato ke adhar par pulis ne tezi se karwai karte hue ek paksh se tin aur dusre paksh se ek vyakti ko giraftar kiya, jisse kul char giraftariyan hui hain. thana adhyaksh rakesh kumar ne pushti ki hai ki sabhi charo giraftar aropiyo ko nyayik hirasat mein bhej diya gaya hai. pulis ab in logo se puchtach kar rahi hai aur agay ki kanuni prakriya jari hai.